hum dard-e-mohabbat ka mudawa nahin karte
ham dard-e-mohabbat kā mudāvā nahīñ karte
kuchh bhī ho magar arz-e-tamannā nahīñ karte
ḳhud zaat pe apnī jo bharosā nahīñ karte
duniyā meñ kabhī naam vo paidā nahīñ karte
manzil kī taraf baḌhte haiñ manzil ke musāfir
ho jaan kā ḳhatra bhī to parvā nahīñ karte
jo rind haiñ maiḳhāne ke ādāb se vāqif
ḳhum bhī jo chaḌhā jaa.eñ to bahkā nahīñ karte
dekhā na kabhī husn ko gustāḳh-nazar se
ham ḳhvāb ke aalam meñ bhī aisā nahīñ karte
jo izzat-o-ḳhuddārī ke haiñ qadr-shanāsā
vo izzat-o-ḳhuddārī kā saudā nahīñ karte
ham dekhte haiñ ek nazar us ko sar-e-ām
chhup-chhup ke kabhī husn ko dekhā nahīñ karte
vo log jo haiñ vāqif-e-taqdīs-e-ġham-o-dard
barbād ġham-o-dard kī duniyā nahīñ karte
hai apne ta.iiñ hurmat-e-fan jaan se baḌh kar
ham hurmat-e-fan ko kabhī rusvā nahīñ karte
'maġhmūm jinheñ vāsta hai naqd-o-nazar se
tārīf kisī kī bhī vo bejā nahīñ karte
hum dard-e-mohabbat ka mudawa nahin karte
kuchh bhi ho magar arz-e-tamanna nahin karte
KHud zat pe apni jo bharosa nahin karte
duniya mein kabhi nam wo paida nahin karte
manzil ki taraf baDhte hain manzil ke musafir
ho jaan ka KHatra bhi to parwa nahin karte
jo rind hain maiKHane ke aadab se waqif
KHum bhi jo chaDha jaen to bahka nahin karte
dekha na kabhi husn ko gustaKH-nazar se
hum KHwab ke aalam mein bhi aisa nahin karte
jo izzat-o-KHuddari ke hain qadr-shanasa
wo izzat-o-KHuddari ka sauda nahin karte
hum dekhte hain ek nazar us ko sar-e-am
chhup-chhup ke kabhi husn ko dekha nahin karte
wo log jo hain waqif-e-taqdis-e-gham-o-dard
barbaad gham-o-dard ki duniya nahin karte
hai apne tain hurmat-e-fan jaan se baDh kar
hum hurmat-e-fan ko kabhi ruswa nahin karte
'maghmum jinhen wasta hai naqd-o-nazar se
tarif kisi ki bhi wo beja nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.