hum dekhte hain unki taraf bar bar kyun
ham dekhte haiñ un kī taraf baar baar kyuuñ
apnī nazar pe ham ko nahīñ iḳhtiyār kyuuñ
vo mujh se pūchhte haiñ ki ho be-qarār kyuuñ
maiñ un se pūchhtā huuñ ki ho trahdār kyuuñ
dariyā bahā rahī tū ai chashm-e-zār kyuuñ
dam bhar bhī TūTtā nahīñ ashkoñ kā taar kyuuñ
tum mujh pe Dhā rahe ho sitam baar baar kyuuñ
āḳhir rulā rahe ho mujhe zaar zaar kyuuñ
pazhmurda hote jaate haiñ gulhā-e-dāġh-e-dil
aatī nahīñ chaman meñ hamāre bahār kyuuñ
kyā phūñk kar rahegī mire āshiyāne ko
bijlī lapak rahī hai idhar baar baar kyuuñ
va.ada hī va.ada thā na vo aa.e na ā.eñge
ai chashm-e-ārzū hai tujhe intizār kyuuñ
apnī nazar se pūchhiye hāl-e-dil-e-hazīñ
be-iḳhtiyār kyuuñ hai nahīñ iḳhtiyār kyuuñ
jab terī rahmatoñ kā nahīñ hai koī shumār
isyāñ kā mere hotā hai yārab shumār kyuuñ
kyā haiñ kisī ke gesu-e-mushkīñ khule hue
hai gulshan-e-jahāñ kī fazā itr-bār kyuuñ
apnī tarah mujhe bhī karegī tamām kyā
taḌpā rahī hai mujh ko shab-e-intizār kyuuñ
haiñ yuuñ to trahdār zamāne meñ aur bhī
lekin hai aap hī pe zamāna nisār kyuuñ
zaḳhmī haiñ donoñ kyā tire tīr-e-nigāh ke
dil meñ ḳhalish hai aur jigar dāġh-dār kyuuñ
'sābir' kī zindagī meñ to pūchhā na aap ne
marne ke ba.ad pūchh rahe haiñ mazār kyuuñ
hum dekhte hain un ki taraf bar bar kyun
apni nazar pe hum ko nahin iKHtiyar kyun
wo mujh se puchhte hain ki ho be-qarar kyun
main un se puchhta hun ki ho trahdar kyun
dariya baha rahi tu ai chashm-e-zar kyun
dam bhar bhi TuTta nahin ashkon ka tar kyun
tum mujh pe Dha rahe ho sitam bar bar kyun
aaKHir rula rahe ho mujhe zar zar kyun
pazhmurda hote jate hain gulha-e-dagh-e-dil
aati nahin chaman mein hamare bahaar kyun
kya phunk kar rahegi mere aashiyane ko
bijli lapak rahi hai idhar bar bar kyun
wada hi wada tha na wo aae na aaenge
ai chashm-e-arzu hai tujhe intizar kyun
apni nazar se puchhiye haal-e-dil-e-hazin
be-iKHtiyar kyun hai nahin iKHtiyar kyun
jab teri rahmaton ka nahin hai koi shumar
isyan ka mere hota hai yarab shumar kyun
kya hain kisi ke gesu-e-mushkin khule hue
hai gulshan-e-jahan ki faza itr-bar kyun
apni tarah mujhe bhi karegi tamam kya
taDpa rahi hai mujh ko shab-e-intizar kyun
hain yun to trahdar zamane mein aur bhi
lekin hai aap hi pe zamana nisar kyun
zaKHmi hain donon kya tere tir-e-nigah ke
dil mein KHalish hai aur jigar dagh-dar kyun
'sabir' ki zindagi mein to puchha na aap ne
marne ke baad puchh rahe hain mazar kyun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.