hum dil-afgaron pe itni si inayat bhi nahin
ham dil-afgāroñ pe itnī sī ināyat bhī nahīñ
un kī jānib se taḌapne kī ijāzat bhī nahīñ
is ravish ko haa.e is kāfir adā kī kyā kahūñ
mujh se nafrat bhī nahīñ hai aur ulfat bhī nahīñ
mere nāloñ se laraztā thā kabhī charḳh-e-kuhan
ab to fariyād-o-fuġhāñ karne kī tāqat bhī nahīñ
jo shajar ḳhūn-e-jigar se ham ne sīñche the kabhī
un ke saa.e meñ Thaharne kī ijāzat bhī nahīñ
allah allāh kaisā vaqt aaya hai gulshan par 'naresh'
dil-kashī to dil-kashī phūloñ meñ nik.hat bhī nahīñ
hum dil-afgaron pe itni si inayat bhi nahin
un ki jaanib se taDapne ki ijazat bhi nahin
is rawish ko hae is kafir ada ki kya kahun
mujh se nafrat bhi nahin hai aur ulfat bhi nahin
mere nalon se larazta tha kabhi charKH-e-kuhan
ab to fariyaad-o-fughan karne ki taqat bhi nahin
jo shajar KHun-e-jigar se hum ne sinche the kabhi
un ke sae mein Thaharne ki ijazat bhi nahin
allah allah kaisa waqt aaya hai gulshan par 'naresh'
dil-kashi to dil-kashi phulon mein nikhat bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.