hum e’takaf-e-kucha-e-jaanan na kar sake
hum e’takaf-e-kucha-e-jaanan na kar sake
Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi
MORE BYAbdul Qayyum Zaki Aurangabadi
ham e’takāf-e-kūcha-e-jānāñ na kar sake
dāġh-e-jigar ko sho’la-e-raqsāñ na kar sake
aa.ī bahār jab bhī rahe dil-figār ham
ham e'tibār-e-fasl-e-bahārāñ na kar sake
auroñ ke kaam aa.e sharīk-e-alam hue
lekin ham apne dard kā darmāñ na kar sake
ham ko razā-e-dost kī ḳhātir 'azīz thī
vo jab mile to un ko pashemāñ na kar sake
ġhairoñ ke jaame par rahī ahbāb kī nazar
apnā rafū-e-chāk-e-garebāñ na kar sake
kuchh to mudāvā kījiye ho kar sharīk-e-ġham
insāñ nahīñ jo ḳhidmat-e-insāñ na kar sake
ġhunchoñ meñ bhī unhīñ kā tabassum hai āshkār
ye aur baat hai koī ‘irfāñ na kar sake
guzrī tamām umr añdhere meñ ai 'zakī'
ham sham'-e-ārzū ko farozāñ na kar sake
hum e’takaf-e-kucha-e-jaanan na kar sake
dagh-e-jigar ko sho’la-e-raqsan na kar sake
aai bahaar jab bhi rahe dil-figar hum
hum e'tibar-e-fasl-e-bahaaran na kar sake
auron ke kaam aae sharik-e-alam hue
lekin hum apne dard ka darman na kar sake
hum ko raza-e-dost ki KHatir 'aziz thi
wo jab mile to un ko pasheman na kar sake
ghairon ke jame par rahi ahbab ki nazar
apna rafu-e-chaak-e-gareban na kar sake
kuchh to mudawa kijiye ho kar sharik-e-gham
insan nahin jo KHidmat-e-insan na kar sake
ghunchon mein bhi unhin ka tabassum hai aashkar
ye aur baat hai koi ‘irfan na kar sake
guzri tamam umr andhere mein ai 'zaki'
hum sham'-e-arzu ko farozan na kar sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.