hum faqiron se samajh hum ko na samjha kya hai
ham faqīroñ se samajh ham ko na samjhā kyā hai
ham samajh-būjh ke baiThe haiñ ki duniyā kyā hai
mas.ala bhī hai agar koī to aisā kyā hai
haath par haath dhare baiThe to qissa kyā hai
vo jise ham ne kiyā rishta-e-jāñ se māmūr
vo bhī kahtā hai ki tujh se mirā naata kyā hai
roz bhar jaatā hai ik zaḳhm purānā koī
roz ik zaḳhm nayā detā hai qissa kyā hai
tū tavangar hai to kyā mujh ko hiqārat se na dekh
kab badal jā.eñge hālāt bharosa kyā hai
ḳhaak honā hai to kis baat kā ronā ki 'zafar'
ḳhaak ho jā.eñge ham is ke alāva kyā hai
hum faqiron se samajh hum ko na samjha kya hai
hum samajh-bujh ke baiThe hain ki duniya kya hai
masala bhi hai agar koi to aisa kya hai
hath par hath dhare baiThe to qissa kya hai
wo jise hum ne kiya rishta-e-jaan se mamur
wo bhi kahta hai ki tujh se mera nata kya hai
roz bhar jata hai ek zaKHm purana koi
roz ek zaKHm naya deta hai qissa kya hai
tu tawangar hai to kya mujh ko hiqarat se na dekh
kab badal jaenge haalat bharosa kya hai
KHak hona hai to kis baat ka rona ki 'zafar'
KHak ho jaenge hum is ke alawa kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.