hum garche nahin laeq-e-darbar tumhaare
ham garche nahīñ lā.eq-e-darbār tumhāre
mash.hūr to haiñ banda-e-sarkār tumhāre
zinda ko to murda kareñ aur murda ko zinda
haiñ donoñ sifat āñkhoñ se iz.hār tumhāre
maqtal meñ jo aao to na lo haath meñ shamshīr
bas karte haiñ do abrū-e-ḳhamdār tumhāre
yūsuf kī to āshiq thī faqat ek zuleḳhā
yūsuf se hazāroñ haiñ ḳharīdār tumhāre
'ḳhāmosh' nahīñ qābil-e-mahfil hai kisī taur
rahne do use bas pas-e-dīvār tumhāre
hum garche nahin laeq-e-darbar tumhaare
mashhur to hain banda-e-sarkar tumhaare
zinda ko to murda karen aur murda ko zinda
hain donon sifat aankhon se izhaar tumhaare
maqtal mein jo aao to na lo hath mein shamshir
bas karte hain do abru-e-KHamdar tumhaare
yusuf ki to aashiq thi faqat ek zuleKHa
yusuf se hazaron hain KHaridar tumhaare
'KHamosh' nahin qabil-e-mahfil hai kisi taur
rahne do use bas pas-e-diwar tumhaare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.