hum ghar hi mein rahte to tamasha to na hote
Interesting Fact
(Quarterly Funun, 1996)
ham ghar hī meñ rahte to tamāshā to na hote
yuuñ kushta-e-be-dād-e-zamāna to na hote
ġham-e-dil pe shikast-e-talab-e-jāñ kā hai bhārī
miT jaate tag-o-tāz meñ paspā to na hote
kho jaate kisī bādiya-e-haft-balā meñ
ḳhilqat meñ magar rāñda-e-duniyā to na hote
duniyā se jo rakhte kabhī duniyā se ravābit
apne hī zamāne meñ yuuñ tanhā to na hote
ho rahte haram ke to jiye jaate sukūñ se
badnām-e-rah-e-dair-o-kalīsā to na hote
āvāra-mizājī kī sazā ḳhuub thī lekin
pā-basta-e-ḳhāk-e-lab-e-dariyā to na hote
jiite haiñ to sab khul ga.e ausāf jahāñ par
mar jaate to achchhā thā ki rusvā to na hote
ūñchā jo uThā rakhte alam apnī anā kā
a.alā na sahī arsh pe adnā to na hote
hum ghar hi mein rahte to tamasha to na hote
yun kushta-e-be-dad-e-zamana to na hote
gham-e-dil pe shikast-e-talab-e-jaan ka hai bhaari
miT jate tag-o-taz mein paspa to na hote
kho jate kisi baadiya-e-haft-bala mein
KHilqat mein magar randa-e-duniya to na hote
duniya se jo rakhte kabhi duniya se rawabit
apne hi zamane mein yun tanha to na hote
ho rahte haram ke to jiye jate sukun se
badnam-e-rah-e-dair-o-kalisa to na hote
aawara-mizaji ki saza KHub thi lekin
pa-basta-e-KHak-e-lab-e-dariya to na hote
jite hain to sab khul gae ausaf jahan par
mar jate to achchha tha ki ruswa to na hote
uncha jo uTha rakhte alam apni ana ka
aala na sahi arsh pe adna to na hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.