hum hadsat-e-gham se jo haare kabhi kabhi
hum hadsat-e-gham se jo haare kabhi kabhi
Mohammad Muzammil Khan
MORE BYMohammad Muzammil Khan
ham hādsāt-e-ġham se jo haare kabhī kabhī
be-sāḳhta tumhī ko pukāre kabhī kabhī
afsos dil samajh na sakā un kī shoḳhiyāñ
un kī nazar ke the jo ishāre kabhī kabhī
dast-e-ajal se dast-o-garebāñ bhī ho ga.e
teġh-e-nigāh-e-nāz ke maare kabhī kabhī
ye 'ain shiin qaaf kahāñ sab pe mehrbān
milte kisī kisī ko haiñ saare kabhī kabhī
gardish falak kī chhoḌ de to ye kareñ asiir
zulfoñ ke ye jo ḳham haiñ tumhāre kabhī kabhī
bechain kaan shor-e-salāsil pe dhar ke sun
zindāñ se koī tujh ko pukāre kabhī kabhī
hum hadsat-e-gham se jo haare kabhi kabhi
be-saKHta tumhi ko pukare kabhi kabhi
afsos dil samajh na saka un ki shoKHiyan
un ki nazar ke the jo ishaare kabhi kabhi
dast-e-ajal se dast-o-gareban bhi ho gae
tegh-e-nigah-e-naz ke mare kabhi kabhi
ye 'ain shin qaf kahan sab pe mehrban
milte kisi kisi ko hain sare kabhi kabhi
gardish falak ki chhoD de to ye karen asir
zulfon ke ye jo KHam hain tumhaare kabhi kabhi
bechain kan shor-e-salasil pe dhar ke sun
zindan se koi tujh ko pukare kabhi kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.