hum hain buniyaad to har shaKHs manare jaisa
ham haiñ buniyād to har shaḳhs manāre jaisā
ham ko miltā hī nahīñ koī hamāre jaisā
aaj bastī meñ hamārī hai ajab hī raunaq
aaj niklā hai yahāñ chāñd tumhāre jaisā
kyā bhalā un se judā merī hai pahchān koī
vo samundar kī tarah haiñ maiñ kināre jaisā
haal kuchh dil kā huā gardish-e-daurāñ ke sabab
kisī muflis ke bilakte hue pyāre jaisā
roz laḌtā hai vo andar ke añdheroñ se 'hayāt'
aap ko lagtā hai jo shaḳhs sitāre jaisā
hum hain buniyaad to har shaKHs manare jaisa
hum ko milta hi nahin koi hamare jaisa
aaj basti mein hamari hai ajab hi raunaq
aaj nikla hai yahan chand tumhaare jaisa
kya bhala un se juda meri hai pahchan koi
wo samundar ki tarah hain main kinare jaisa
haal kuchh dil ka hua gardish-e-dauran ke sabab
kisi muflis ke bilakte hue pyare jaisa
roz laDta hai wo andar ke andheron se 'hayat'
aap ko lagta hai jo shaKHs sitare jaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.