hum hain diwane wo hain farzane
ham haiñ dīvāne vo haiñ farzāne
kis kā kyā haal hai ḳhudā jaane
pyāse pyāse haiñ ḳhud hī paimāne
ujḌe ujḌe hue haiñ maiḳhāne
kaise samjhūñ maiñ ajnabī ḳhud ko
log milte haiñ jaane pahchāne
un ko siine se ham lagāte haiñ
jin ko Thukrā diyā hai duniyā ne
chashm-e-sāqī kī mehrbānī se
raqs karne lage haiñ paimāne
aap ko vaqt ḳhud batā degā
kaun apne haiñ kaun begāne
rasm kaisī hai ye mohabbat kī
aag meñ jal rahe haiñ parvāne
zindagī ai 'zamīr' us kī hai
terī āvāz ko jo pahchāne
hum hain diwane wo hain farzane
kis ka kya haal hai KHuda jaane
pyase pyase hain KHud hi paimane
ujDe ujDe hue hain maiKHane
kaise samjhun main ajnabi KHud ko
log milte hain jaane pahchane
un ko sine se hum lagate hain
jin ko Thukra diya hai duniya ne
chashm-e-saqi ki mehrbani se
raqs karne lage hain paimane
aap ko waqt KHud bata dega
kaun apne hain kaun begane
rasm kaisi hai ye mohabbat ki
aag mein jal rahe hain parwane
zindagi ai 'zamir' us ki hai
teri aawaz ko jo pahchane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.