hum hain duniya-e-qayamat se guzare hue log
ham haiñ duniyā-e-qayāmat se guzāre hue log
kyoñ na sustā.eñ lahad meñ thake-hāre hue log
ab hamārā nahīñ paanī meñ banī raah kā pūchh
ham haiñ tūfān meñ kushtī se utāre hue log
ab kisī taur bhī ḳhātir meñ nahīñ aa sakte
dil se utrā huā to sar se utāre hue log
karbalā sā banā manzar sar-e-maidāñ aa kar
jab hamārā huā allāh tumhāre hue log
gāḌiyāñ guzreñ to yaad aatā hai station par
saath guzrā huā vaqt aur guzāre hue log
us ko poshāk badalne kī hai 'ādat aur ham
us ke ik baar pahan kar haiñ utāre hue log
kā.enāt aur tirī vus'ateñ samjheñge kahāñ
ek gole pe tire chand shumāre hue log
yaum-e-insāf hai 'shāhid' bilā-tāḳhīr-e-mazīd
pahle aa jaa.eñ masīhāoñ ke maare hue log
hum hain duniya-e-qayamat se guzare hue log
kyon na sustaen lahad mein thake-haare hue log
ab hamara nahin pani mein bani rah ka puchh
hum hain tufan mein kushti se utare hue log
ab kisi taur bhi KHatir mein nahin aa sakte
dil se utra hua to sar se utare hue log
karbala sa bana manzar sar-e-maidan aa kar
jab hamara hua allah tumhaare hue log
gaDiyan guzren to yaad aata hai station par
sath guzra hua waqt aur guzare hue log
us ko poshak badalne ki hai 'adat aur hum
us ke ek bar pahan kar hain utare hue log
kaenat aur teri wus'aten samjhenge kahan
ek gole pe tere chand shumare hue log
yaum-e-insaf hai 'shahid' bila-taKHir-e-mazid
pahle aa jaen masihaon ke mare hue log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.