hum hain insan is liye lazim hai ki musalsal kaam karen
ham haiñ insān is liye lāzim hai ki musalsal kaam kareñ
koī ḳhudā to nahīñ haiñ ham jo sātveñ din ārām kareñ
ham to haiñ bande jān-o-badan se aap ke husn ke tābe'dār
aap haiñ aaqā ham jaise chāhe jitnoñ ko ġhulām kareñ
ham ko to 'ādat hai rātoñ meñ jāgne rone gaane kī
ham ko hamāre haal pe chhoḌeñ niiñd na apnī harām kareñ
aap kī āñkhoñ se lafzoñ kā rizq utartā hai ham par
aap jo chāheñ sūkhā rakkheñ yā bārish ilhām kareñ
hum hain insan is liye lazim hai ki musalsal kaam karen
koi KHuda to nahin hain hum jo satwen din aaram karen
hum to hain bande jaan-o-badan se aap ke husn ke tabe'dar
aap hain aaqa hum jaise chahe jitnon ko ghulam karen
hum ko to 'adat hai raaton mein jagne rone gane ki
hum ko hamare haal pe chhoDen nind na apni haram karen
aap ki aankhon se lafzon ka rizq utarta hai hum par
aap jo chahen sukha rakkhen ya barish ilham karen
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 95)
- Author :Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.