Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum hain mushtaq-laqa hum ko wo Talen kyon kar

Hamid Husain Hamid

hum hain mushtaq-laqa hum ko wo Talen kyon kar

Hamid Husain Hamid

MORE BYHamid Husain Hamid

    ham haiñ mushtāq-laqā ham ko vo Tāleñ kyoñ kar

    aur Tāleñ bhī to ham dil ko sañbhāleñ kyoñ kar

    zulm karne ko vo kahte haiñ barābar ham se

    fikr ye hai ki ise bazm se Tāleñ kyoñ kar

    har ghaḌī zulm-o-sitam unheñ rahtā hai ḳhayāl

    apne 'āshiq tamannā vo nikāleñ kyoñ kar

    sharm aatī hai unheñ kar ke jafā hazrat-e-dil

    sāmne aap ke vo nām-e-vafā leñ kyoñ kar

    naala karte haiñ jo 'āshiq to vo hote haiñ ḳhafā

    muñh se ab harf-e-tamannā ye nikāleñ kyoñ kar

    rafta-rafta sitam-e-charḳh ke 'aadī hoñge

    yak-ba-yak bār-e-garāñ sar pe uThā leñ kyoñ kar

    dil liyā thā mirā bachpan meñ usī din ke liye

    phir chaleñ aap javāñ ho ke na chāleñ kyoñ kar

    us ke kūche se nikalnā to hai āsāñ apnā

    lekin armāñ dil-e-shaidā se nikāleñ kyoñ kar

    naaz uThāne ko to 'hāmid' bhī vahāñ baiThe

    ab sañbhaltā nahīñ dil un se sañbhāleñ kyoñ kar

    hum hain mushtaq-laqa hum ko wo Talen kyon kar

    aur Talen bhi to hum dil ko sanbhaalen kyon kar

    zulm karne ko wo kahte hain barabar hum se

    fikr ye hai ki ise bazm se Talen kyon kar

    har ghaDi zulm-o-sitam ka unhen rahta hai KHayal

    apne 'ashiq ki tamanna wo nikalen kyon kar

    sharm aati hai unhen kar ke jafa hazrat-e-dil

    samne aap ke wo nam-e-wafa len kyon kar

    nala karte hain jo 'ashiq to wo hote hain KHafa

    munh se ab harf-e-tamanna ye nikalen kyon kar

    rafta-rafta sitam-e-charKH ke 'adi honge

    yak-ba-yak bar-e-garan sar pe uTha len kyon kar

    dil liya tha mera bachpan mein usi din ke liye

    phir chalen aap jawan ho ke na chaalen kyon kar

    us ke kuche se nikalna to hai aasan apna

    lekin arman dil-e-shaida se nikalen kyon kar

    naz uThane ko to 'hamid' bhi wahan ja baiThe

    ab sanbhalta nahin dil un se sanbhaalen kyon kar

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now