hum hain TuTe hue hum hain haare hue
ham haiñ TuuTe hue ham haiñ haare hue
dāstānoñ meñ vo jo haiñ maare hue
zindagī ke fareboñ se kis ko mafar
us ke hāthoñ giraftār saare hue
vo jo bujhte ga.e tīrgī ban ga.e
vo jo raushan rahe vo sitāre hue
dekh ham bhī zabīhoñ ke is Dher meñ
tere qadmoñ pe kab se haiñ vaare hue
log haiñ ḳhauf kī dā.imī qaid meñ
ḳhud se milte haiñ sab ruup dhāre hue
apne hisse meñ aa.ī hai kyā zindagī
rāteñ biitī huiiñ din guzāre hue
hum hain TuTe hue hum hain haare hue
dastanon mein wo jo hain mare hue
zindagi ke farebon se kis ko mafar
us ke hathon giraftar sare hue
wo jo bujhte gae tirgi ban gae
wo jo raushan rahe wo sitare hue
dekh hum bhi zabihon ke is Dher mein
tere qadmon pe kab se hain ware hue
log hain KHauf ki daimi qaid mein
KHud se milte hain sab rup dhaare hue
apne hisse mein aai hai kya zindagi
raaten biti huin din guzare hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.