hum har qadam pe soch ka ruKH moDte rahe
hum har qadam pe soch ka ruKH moDte rahe
Khwaja Mahmood-ul-Hasan
MORE BYKhwaja Mahmood-ul-Hasan
ham har qadam pe soch kā ruḳh moḌte rahe
kitne sanam banāte rahe toḌte rahe
halchal jo dil meñ thī vo na lafzoñ meñ Dhal sakī
rishte zabān o dil ke bahut joḌte rahe
ubhrā kiye shokūk na.e dil meñ har ghaḌī
har dam nayā shagūfa koī chhoḌte rahe
ḳhud meñ the aise dahr se nā-āshnā rahe
raushan haqīqatoñ se bhī muñh moḌte rahe
partav thā ik jamāl kā aayā guzar gayā
saaya thā jis ke pīchhe sadā dauḌte rahe
ab tak junūn-e-'ishq kī haiñ sar-bulandiyāñ
nāhaq ḳhirad ke naam pe sar phoḌte rahe
hum har qadam pe soch ka ruKH moDte rahe
kitne sanam banate rahe toDte rahe
halchal jo dil mein thi wo na lafzon mein Dhal saki
rishte zaban o dil ke bahut joDte rahe
ubhra kiye shokuk nae dil mein har ghaDi
har dam naya shagufa koi chhoDte rahe
KHud mein the aise dahr se na-ashna rahe
raushan haqiqaton se bhi munh moDte rahe
partaw tha ek jamal ka aaya guzar gaya
saya tha jis ke pichhe sada dauDte rahe
ab tak junun-e-'ishq ki hain sar-bulandiyan
nahaq KHirad ke nam pe sar phoDte rahe
- Book : Shora-e-London (Pg. 159)
- Author : Jauhar Zahiri
- Publication : Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street, Londan W.C-1 (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.