hum hifazat se zar-e-dida-e-tar rakhte hain
ham hifāzat se zar-e-dīda-e-tar rakhte haiñ
aur sarfe ko dil-o-jān-o-jigar rakhte haiñ
taaki āsān safar hijr kā ho jaa.e zarā
yaad kī raah meñ sarsabz shajar rakhte haiñ
dast-e-qātil se bahut duur chale haiñ to magar
paas meñ tohfatan us teġh kā Dar rakhte haiñ
ham to 'āzād' haiñ sailānī haiñ banjāre haiñ
vaise kahne ko ka.ī shahroñ meñ ghar rakhte haiñ
hum hifazat se zar-e-dida-e-tar rakhte hain
aur sarfe ko dil-o-jaan-o-jigar rakhte hain
taki aasan safar hijr ka ho jae zara
yaad ki rah mein sarsabz shajar rakhte hain
dast-e-qatil se bahut dur chale hain to magar
pas mein tohfatan us tegh ka Dar rakhte hain
hum to 'azad' hain sailani hain banjare hain
waise kahne ko kai shahron mein ghar rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.