hum hi nahin jo teri talab mein Dere Dere phirte hain
ham hī nahīñ jo terī talab meñ Dere Dere phirte haiñ
aur bahut se ḳhaak uḌaa.e baal bikhere phirte haiñ
paas agar sarmāya-e-dil hai saa.e se hoshiyār raho
in rāhoñ meñ bhes badal kar chor luTere phirte haiñ
maiñ ne sunā hai sahrā par bhī chhīñTā to paḌ jaatā hai
dekhnā ye hai shūmī-e-qismat kab din mere phirte haiñ
rāh-e-ḳhirad se mumkin thā āvāz ko sun kar lauT aate
rāh-e-junūñ par jaane vaale kis ke phere phirte haiñ
tū ne kabhī tanhā.ī meñ do chaar ghaḌī ye sochā hai
tere liye ham Thokareñ khāte sāñjh savere phirte haiñ
hum hi nahin jo teri talab mein Dere Dere phirte hain
aur bahut se KHak uDae baal bikhere phirte hain
pas agar sarmaya-e-dil hai sae se hoshiyar raho
in rahon mein bhes badal kar chor luTere phirte hain
main ne suna hai sahra par bhi chhinTa to paD jata hai
dekhna ye hai shumi-e-qismat kab din mere phirte hain
rah-e-KHirad se mumkin tha aawaz ko sun kar lauT aate
rah-e-junun par jaane wale kis ke phere phirte hain
tu ne kabhi tanhai mein do chaar ghaDi ye socha hai
tere liye hum Thokaren khate sanjh sawere phirte hain
- Book : kulliyat -e-Murtaza Barlas (Pg. 135)
- Author : Murtaza Barlas
- Publication : Alhamd Publication Lahore (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.