hum hue hon ki dil hua barbaad
ham hue hoñ ki dil huā barbād
ishq ne sab ko kar diyā barbād
ham se milte hue bhī hairat hai
vaqt hotā hai aap kā barbād
ye parī-chehra log kyā samjheñ
kaun kis vaqt ho gayā barbād
qadr maañ baap kī na kī jis ne
dekhnā us ko vo huā barbād
shauq is meñ bahut zarūrī hai
ho na jaa.e kahīñ duā barbād
aah lenā na tum dukhe dil kī
kar na de tum ko badduā barbād
aaḌe vaqtoñ meñ kaam aa.egā
paisa mat karnā haath kā barbād
va.ada kar ke bhī vo nahīñ aaya
ho gayā merā rat-jagā barbād
kis kī bātoñ meñ aa ga.e 'zāhid'
kaun tum ko ye kar gayā barbād
hum hue hon ki dil hua barbaad
ishq ne sab ko kar diya barbaad
hum se milte hue bhi hairat hai
waqt hota hai aap ka barbaad
ye pari-chehra log kya samjhen
kaun kis waqt ho gaya barbaad
qadr man bap ki na ki jis ne
dekhna us ko wo hua barbaad
shauq is mein bahut zaruri hai
ho na jae kahin dua barbaad
aah lena na tum dukhe dil ki
kar na de tum ko baddua barbaad
aaDe waqton mein kaam aaega
paisa mat karna hath ka barbaad
wada kar ke bhi wo nahin aaya
ho gaya mera rat-jaga barbaad
kis ki baaton mein aa gae 'zahid'
kaun tum ko ye kar gaya barbaad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.