hum hue taswir ab pahla sa wo aalam kahan
ham hue tasvīr ab pahlā sā vo aalam kahāñ
rañg haiñ sab pairahan meñ kho ga.e haiñ ham kahāñ
muzmahil hai sub.h kā sho.ala dhuāñ hai dasht par
dekhnā hai uḌ ke jaatī hai magar shabnam kahāñ
dast-e-qātil ke liye hoñToñ pe ab bhī marhabā
ḳhūn-e-ahl-e-dil kī ḳhātir sīna-e-mātam kahāñ
dāman-e-dil meñ sameTe haiñ abhī tūfāñ ka.ī
sail-e-ashk-o-nāla-e-ġham ho ga.e haiñ kam kahāñ
dil dhaḌaktā hai har ik aahaT pe ahl-e-hijr kā
jānte haiñ vo ki aa.egā koī is dam kahāñ
uḌ ke aatā hai ġhubār-e-rahguzar āñkhoñ meñ phir
DhūñDhtā huuñ kho gayā hai dīda-pur-nam kahāñ
hum hue taswir ab pahla sa wo aalam kahan
rang hain sab pairahan mein kho gae hain hum kahan
muzmahil hai subh ka shoala dhuan hai dasht par
dekhna hai uD ke jati hai magar shabnam kahan
dast-e-qatil ke liye honTon pe ab bhi marhaba
KHun-e-ahl-e-dil ki KHatir sina-e-matam kahan
daman-e-dil mein sameTe hain abhi tufan kai
sail-e-ashk-o-nala-e-gham ho gae hain kam kahan
dil dhaDakta hai har ek aahaT pe ahl-e-hijr ka
jaante hain wo ki aaega koi is dam kahan
uD ke aata hai ghubar-e-rahguzar aankhon mein phir
DhunDhta hun kho gaya hai dida-pur-nam kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.