hum ek pari ki mohabbat mein mubtala ho kar
ham ik parī kī mohabbat meñ mubtalā ho kar
hue haiñ qaid kisī gum-shuda jazīre par
to maiñ ye samjhūñ ki rasta bhaTak gayā hogā
agar vo shaam ko bhī lauT kar na aayā ghar
bahut se log to ḳhud ko ḳhudā samajhte the
magar kisī ke bhī aage nahīñ jhukāyā sar
vo ek raat tire hijr kī vo pahlī raat
tavīl itnī thī jaise ho 'arsa-e-mahshar
kisī ke ḳhvāb se mansūb hai ye bīnā.ī
maiñ phoḌ dūñgā ye āñkheñ ba-sūrat-e-dīgar
hum ek pari ki mohabbat mein mubtala ho kar
hue hain qaid kisi gum-shuda jazire par
to main ye samjhun ki rasta bhaTak gaya hoga
agar wo sham ko bhi lauT kar na aaya ghar
bahut se log to KHud ko KHuda samajhte the
magar kisi ke bhi aage nahin jhukaya sar
wo ek raat tere hijr ki wo pahli raat
tawil itni thi jaise ho 'arsa-e-mahshar
kisi ke KHwab se mansub hai ye binai
main phoD dunga ye aankhen ba-surat-e-digar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.