hum ek taraf hain to duniya tamam aur kahin
hum ek taraf hain to duniya tamam aur kahin
Shagufta Naim Hashmi
MORE BYShagufta Naim Hashmi
ham ik taraf haiñ to duniyā tamām aur kahīñ
yahāñ nahīñ to milegā maqām aur kahīñ
dayār-e-ġhair bhī thā aur musāfirī bhī thī
sahar kahīñ pe guzārī to shaam aur kahīñ
mire darīche kā manzar hai kuchh adhūrā sā
damak rahā hai vo māh-e-tamām aur kahīñ
tumhāre ishq kī jaulāñ meñ aisā jakḌā hai
ki bhaag saktā nahīñ ye ġhulām aur kahīñ
yahāñ to saarī nashistoñ pe ġhair baiThe haiñ
kiyā hī hogā mirā intizām aur kahīñ
ise nasīb kā likkhā samajh ke maan liyā
maqām aur jagah thā qiyām aur kahīñ
hum ek taraf hain to duniya tamam aur kahin
yahan nahin to milega maqam aur kahin
dayar-e-ghair bhi tha aur musafiri bhi thi
sahar kahin pe guzari to sham aur kahin
mere dariche ka manzar hai kuchh adhura sa
damak raha hai wo mah-e-tamam aur kahin
tumhaare ishq ki jaulan mein aisa jakDa hai
ki bhag sakta nahin ye ghulam aur kahin
yahan to sari nashiston pe ghair baiThe hain
kiya hi hoga mera intizam aur kahin
ise nasib ka likkha samajh ke man liya
maqam aur jagah tha qiyam aur kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.