hum insan hain dil-e-insan ko taDpana nahin aata
ham insāñ haiñ dil-e-insāñ ko taḌpānā nahīñ aatā
karam kī shaan rakhte haiñ sitam Dhānā nahīñ aatā
mire zaḳhmoñ se tum kab tak bachāoge nazar apnī
ye vo ġhunche haiñ jin ko khil ke murjhānā nahīñ aatā
kahūñ kaise ki aañsū merī āñkhoñ meñ nahīñ lekin
sadaf ko gauhar-e-nāyāb bikhrānā nahīñ aatā
ham ahl-e-ġham sadā sang-e-alam se khelte aa.e
ye kis ne kah diyā patthar se Takrānā nahīñ aatā
hamāre jurm-e-ulfat kī to kī shohrat zamāne meñ
magar apnī jafā par un ko sharmānā nahīñ aatā
ham apnī bad-nasībī se ab is manzil pe aa pahuñche
fasāna ġham kā jis manzil pe dohrānā nahīñ aatā
fareb-e-ahd se un ke 'azīz' ab to ye aalam hai
kisī sūrat dil-e-muztar ko bahlānā nahīñ aatā
hum insan hain dil-e-insan ko taDpana nahin aata
karam ki shan rakhte hain sitam Dhana nahin aata
mere zaKHmon se tum kab tak bachaoge nazar apni
ye wo ghunche hain jin ko khil ke murjhana nahin aata
kahun kaise ki aansu meri aankhon mein nahin lekin
sadaf ko gauhar-e-nayab bikhrana nahin aata
hum ahl-e-gham sada sang-e-alam se khelte aae
ye kis ne kah diya patthar se Takrana nahin aata
hamare jurm-e-ulfat ki to ki shohrat zamane mein
magar apni jafa par un ko sharmana nahin aata
hum apni bad-nasibi se ab is manzil pe aa pahunche
fasana gham ka jis manzil pe dohrana nahin aata
fareb-e-ahd se un ke 'aziz' ab to ye aalam hai
kisi surat dil-e-muztar ko bahlana nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.