hum intiha-e-jaur-o-sitam dekhte rahe
ham intihā-e-jaur-o-sitam dekhte rahe
ya.anī ki un ke lutf-o-karam dekhte rahe
nāzāñ thā apnī parda-nashīnī pe jo bahut
chashm-e-ḳhayāl se use ham dekhte rahe
jā pahuñche rind arsh pe sāġhar ko chuum kar
jo farsh par the ranj-o-alam dekhte rahe
hosh-o-ḳhirad meñ ishq kī manzil na mil sakī
ham rahbaroñ ke naqsh-e-qadam dekhte rahe
uljheñge hādsāt se azm-e-javāñ ke saath
ab tak to hādsāt ko ham dekhte rahe
ai 'auj' apnā zauq-e-nazar hai ki der tak
dīvāna-vār zulf kā ḳham dekhte rahe
hum intiha-e-jaur-o-sitam dekhte rahe
yani ki un ke lutf-o-karam dekhte rahe
nazan tha apni parda-nashini pe jo bahut
chashm-e-KHayal se use hum dekhte rahe
ja pahunche rind arsh pe saghar ko chum kar
jo farsh par the ranj-o-alam dekhte rahe
hosh-o-KHirad mein ishq ki manzil na mil saki
hum rahbaron ke naqsh-e-qadam dekhte rahe
uljhenge hadsat se azm-e-jawan ke sath
ab tak to hadsat ko hum dekhte rahe
ai 'auj' apna zauq-e-nazar hai ki der tak
diwana-war zulf ka KHam dekhte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.