hum ishq ko faqat ek tajraba samajhte hain
ham ishq ko faqat ik tajraba samajhte haiñ
ise radīf nahīñ qāfiya samajhte haiñ
jo baat ham kisī mahfil meñ yuuñ hī bol aa.e
bahut se log use falsafa samajhte haiñ
likhe haiñ apne muqaddar meñ itne ishq ki log
hamāre sheroñ ko sab ishqīya samajhte haiñ
muāmlāt kī tafhīm bhī zarūrī hai
bas itnī baat to ham shartiya samajhte haiñ
ġhamoñ ke biich jo dil naam kā jazīra hai
ham us jazīre kā juġhrāfiya samajhte haiñ
na muḳhlisāna ravayya na vālihāna sulūk
ham aise milne ko ik hādisa samajhte haiñ
ab apne biich kahāñ aise log haiñ 'āqib'
jo sirf baat nahīñ nazriya samajhte haiñ
hum ishq ko faqat ek tajraba samajhte hain
ise radif nahin qafiya samajhte hain
jo baat hum kisi mahfil mein yun hi bol aae
bahut se log use falsafa samajhte hain
likhe hain apne muqaddar mein itne ishq ki log
hamare sheron ko sab ishqiya samajhte hain
muamlat ki tafhim bhi zaruri hai
bas itni baat to hum shartiya samajhte hain
ghamon ke bich jo dil nam ka jazira hai
hum us jazire ka jughrafiya samajhte hain
na muKHlisana rawayya na walihana suluk
hum aise milne ko ek hadisa samajhte hain
ab apne bich kahan aise log hain 'aqib'
jo sirf baat nahin nazriya samajhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.