hum ishq mein barbaad hain barbaad rahenge
ham ishq meñ barbād haiñ barbād raheñge
dil ro.egā tere liye aañsū na bacheñge
siine meñ chhupā rakkheñge ham rāz-e-mohabbat
ai jān-e-vafā tujh se mohabbat na kareñge
qismat se shikāyat hai gila tujh se nahīñ hai
tū ne jo diyā dard vo hañs hañs ke saheñge
DhūñDheñgī na ab tujh ko ye be-nūr nigāheñ
tū sāmne bhī aa.e to dekhā na kareñge
hum ishq mein barbaad hain barbaad rahenge
dil roega tere liye aansu na bachenge
sine mein chhupa rakkhenge hum raaz-e-mohabbat
ai jaan-e-wafa tujh se mohabbat na karenge
qismat se shikayat hai gila tujh se nahin hai
tu ne jo diya dard wo hans hans ke sahenge
DhunDhengi na ab tujh ko ye be-nur nigahen
tu samne bhi aae to dekha na karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.