hum itna bandagi mein kho chuke hain
ham itnā bandagī meñ kho chuke haiñ
ḳhudā se baat tak karne lage haiñ
khilaune sach meñ mahñge ho ga.e haiñ
yahāñ sab dil se mere khelte haiñ
vabā phailī hai aisī āsmāñ meñ
parinde sab zamīñ par aa gire haiñ
sukūñ kī aas meñ sahrā meñ aaya
yahāñ bhī peḌ sab rūThe khaḌe haiñ
achānak aa kisī shab dekh aa kar
baḌe mash.hūr apne ratjage haiñ
koī duujā nahīñ nazdīk mere
mire jo rābte haiñ aap se haiñ
mizāj apnā jahāñ se muḳhtalif hai
bahut kam logoñ se ham bolte haiñ
mirā ronā bhī 'sohil' mo.ajiza hai
ḳhizāñ meñ phuul kuchh khilne lage haiñ
hum itna bandagi mein kho chuke hain
KHuda se baat tak karne lage hain
khilaune sach mein mahnge ho gae hain
yahan sab dil se mere khelte hain
waba phaili hai aisi aasman mein
parinde sab zamin par aa gire hain
sukun ki aas mein sahra mein aaya
yahan bhi peD sab ruThe khaDe hain
achanak aa kisi shab dekh aa kar
baDe mashhur apne ratjage hain
koi duja nahin nazdik mere
mere jo rabte hain aap se hain
mizaj apna jahan se muKHtalif hai
bahut kam logon se hum bolte hain
mera rona bhi 'sohil' moajiza hai
KHizan mein phul kuchh khilne lage hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.