hum itni ehtiyat se hain zindagi ke sath
ham itnī ehtiyāt se haiñ zindagī ke saath
kaTtī ho jaise 'umr kisī ajnabī ke saath
do gaam saath de ke mohabbat kī raah meñ
achchhā mazāq tum ne kiyā zindagī ke saath
pī leñge ham to shauq se ye zahr-e-tanz bhī
ronā paḌe na tum ko kisī din hañsī ke saath
māñge hue charāġh kī lau le ke kyā kareñ
apnī to 'umr kaT hī ga.ī tīrgī ke saath
ye aur baat hai ki ḳhushī chhīn lī ga.ī
ham ko shu'ūr-e-ġham bhī milā āgahī ke saath
sajde na hoñ qubūl magar ye to ġham na ho
sajdoñ kī aabrū bhī ga.ī bandagī ke saath
rāheñ judā judā hoñ to kuchh ġham na kījiye
ham 'ālam-e-ḳhayāl meñ haiñ aap hī ke saath
jis se nazar milā ke kabhī guftugū na kī
ik rabt-e-ḳhās ham ko rahā hai usī ke saath
phūloñ kī zindagī ko baḌhāne ke vāste
gulshan meñ ghūmtī hai 'sabā' sādgī ke saath
hum itni ehtiyat se hain zindagi ke sath
kaTti ho jaise 'umr kisi ajnabi ke sath
do gam sath de ke mohabbat ki rah mein
achchha mazaq tum ne kiya zindagi ke sath
pi lenge hum to shauq se ye zahr-e-tanz bhi
rona paDe na tum ko kisi din hansi ke sath
mange hue charagh ki lau le ke kya karen
apni to 'umr kaT hi gai tirgi ke sath
ye aur baat hai ki KHushi chhin li gai
hum ko shu'ur-e-gham bhi mila aagahi ke sath
sajde na hon qubul magar ye to gham na ho
sajdon ki aabru bhi gai bandagi ke sath
rahen juda juda hon to kuchh gham na kijiye
hum 'alam-e-KHayal mein hain aap hi ke sath
jis se nazar mila ke kabhi guftugu na ki
ek rabt-e-KHas hum ko raha hai usi ke sath
phulon ki zindagi ko baDhane ke waste
gulshan mein ghumti hai 'saba' sadgi ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.