hum jaison ka KHayal kisi ne nahin kiya
ham jaisoñ kā ḳhayāl kisī ne nahīñ kiyā
is baat kā malāl kisī ne nahīñ kiyā
hotī rahī haiñ jin kī taraf se 'ināyateñ
darvesh ko nihāl kisī ne nahīñ kiyā
sab log muntazir haiñ ki darvāza kuchh kahe
dīvār se savāl kisī ne nahīñ kiyā
tasḳhīr to kiyā hai kisī ke jamāl ne
pāband-e-ḳhadd-o-ḳhāl kisī ne nahīñ kiyā
be-misl kī misāl agar dī to ham ne dī
ye kār-e-be-misāl kisī ne nahīñ kiyā
chāra-garān-e-zaḳhm ko phir bhī mirā salām
hālāñki indimāl kisī ne nahīñ kiyā
'ikrām' shām-e-hijr guzarne ke bāvajūd
sharminda-e-visāl kisī ne nahīñ kiyā
hum jaison ka KHayal kisi ne nahin kiya
is baat ka malal kisi ne nahin kiya
hoti rahi hain jin ki taraf se 'inayaten
darwesh ko nihaal kisi ne nahin kiya
sab log muntazir hain ki darwaza kuchh kahe
diwar se sawal kisi ne nahin kiya
tasKHir to kiya hai kisi ke jamal ne
paband-e-KHadd-o-KHal kisi ne nahin kiya
be-misl ki misal agar di to hum ne di
ye kar-e-be-misal kisi ne nahin kiya
chaara-garan-e-zaKHm ko phir bhi mera salam
haalanki indimal kisi ne nahin kiya
'ikram' sham-e-hijr guzarne ke bawajud
sharminda-e-visal kisi ne nahin kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.