hum jal rahe the aur ba-zahir nishan na tha
ham jal rahe the aur ba-zāhir nishāñ na thā
dil kī lagī vo aag thī jis meñ dhuāñ na thā
rokā thā mujh ko merī ḳhudī ke hijāb ne
dekhā to un ke dar pe koī pāsbāñ na thā
mauhūm jalva thā tire aks-e-ḳhayāl kā
badlā ḳhayāl tū ne to saarā jahāñ na thā
vo kar rahe the mujh ko vafāoñ meñ puḳhta-kār
mashq-e-sitam hai madd-e-nazar imtihāñ na thā
parvāz-e-fikr bhī rahī zauq-e-nazar ke saath
pābandī-e-qafas se mujhe kuchh ziyāñ na thā
thā e.atibār-e-naqs-o-kamāl-e-nigāh-e-shauq
vo jalva jo ayaañ bhī nahīñ thā nihāñ na thā
ham ko to iltifāt-e-karam kā rahā ḳhayāl
varna zabāñ pe harf-e-tamannā girāñ na thā
bijlī chamak chamak ke nazar Dāltī rahī
girtī kahāñ chaman meñ mirā āshiyāñ na thā
thī zindagī muhāl ġham-e-ishq ke baġhair
jo ġham diyā gayā thā ġham-e-jāvedāñ na thā
inkār karte kyā ki zalūm-o-jahūl the
ye to nahīñ ki bār-e-amānat girāñ na thā
'shākir' huā vafā-e-musalsal se kāmyāb
āġhāz-e-ishq meñ to vo kuchh mehrbāñ na thā
hum jal rahe the aur ba-zahir nishan na tha
dil ki lagi wo aag thi jis mein dhuan na tha
roka tha mujh ko meri KHudi ke hijab ne
dekha to un ke dar pe koi pasban na tha
mauhum jalwa tha tere aks-e-KHayal ka
badla KHayal tu ne to sara jahan na tha
wo kar rahe the mujh ko wafaon mein puKHta-kar
mashq-e-sitam hai madd-e-nazar imtihan na tha
parwaz-e-fikr bhi rahi zauq-e-nazar ke sath
pabandi-e-qafas se mujhe kuchh ziyan na tha
tha eatibar-e-naqs-o-kamal-e-nigah-e-shauq
wo jalwa jo ayan bhi nahin tha nihan na tha
hum ko to iltifat-e-karam ka raha KHayal
warna zaban pe harf-e-tamanna giran na tha
bijli chamak chamak ke nazar Dalti rahi
girti kahan chaman mein mera aashiyan na tha
thi zindagi muhaal gham-e-ishq ke baghair
jo gham diya gaya tha gham-e-jawedan na tha
inkar karte kya ki zalum-o-jahul the
ye to nahin ki bar-e-amanat giran na tha
'shakir' hua wafa-e-musalsal se kaamyab
aaghaz-e-ishq mein to wo kuchh mehrban na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.