hum jis ki bund-bund ko tarse chala gaya
ham jis kī būñd-būñd ko tarse chalā gayā
vo ham pe is se qabl ki barse chalā gayā
ahbāb us ko vāpsī lene nikal paḌe
ġhurbat kā bhuut jab mire ghar se chalā gayā
tab se ye dhuup mere muqaddar meñ aa ga.ī
saaya jab ek peḌ kā sar se chalā gayā
tujh se milūñgā soch ke aaya thā maiñ magar
kuchh pal Thahar ke maiñ tire dar se chalā gayā
panchhī shajar kī shāḳh pe baiThe to der tak
tanhā.iyoñ kā bojh shajar se chalā gayā
maiñ ne ye zindagī kā ḳhulāsa likhā 'razā'
aaya udhar se aur idhar se chalā gayā
hum jis ki bund-bund ko tarse chala gaya
wo hum pe is se qabl ki barse chala gaya
ahbab us ko wapsi lene nikal paDe
ghurbat ka bhut jab mere ghar se chala gaya
tab se ye dhup mere muqaddar mein aa gai
saya jab ek peD ka sar se chala gaya
tujh se milunga soch ke aaya tha main magar
kuchh pal Thahar ke main tere dar se chala gaya
panchhi shajar ki shaKH pe baiThe to der tak
tanhaiyon ka bojh shajar se chala gaya
main ne ye zindagi ka KHulasa likha 'raza'
aaya udhar se aur idhar se chala gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.