hum jis taraf nikal paDe waraftagi ke sath
ham jis taraf nikal paḌe vāraftagī ke saath
manzil ne chuum chuum liyā sarḳhushī ke saath
ham jānte haiñ koī bahāna tarāsh kar
pesh ā.eñge vo ham se baḌī be-ruḳhī ke saath
vo jannat-e-nigāh jo hai ain-e-zindagī
aksar uThī hai merī taraf barhamī ke saath
shoḳhī sī kuchh jhalaktī hai un kī nigāh se
chalte to haiñ qadam-ba-qadam sādgī ke saath
kuchh bhī na kah sake mire hāl-e-tabāh par
sunte rahe fasāna-e-ġham ḳhāmushī ke saath
māyūs ho ke palTe jo aivān-e-husn se
phir aarzū lipaT ga.ī dīvāngī ke saath
vo sāmne hai manzil-e-jānāñ kī sarzamīñ
ai muḳhlisān-e-ishq chalo be-ḳhudī ke saath
matlab hī jaise kuchh unheñ 'iqbāl' se nahīñ
aa.e bhī haiñ vo dil meñ to kis sādgī ke saath
hum jis taraf nikal paDe waraftagi ke sath
manzil ne chum chum liya sarKHushi ke sath
hum jaante hain koi bahana tarash kar
pesh aaenge wo hum se baDi be-ruKHi ke sath
wo jannat-e-nigah jo hai ain-e-zindagi
aksar uThi hai meri taraf barhami ke sath
shoKHi si kuchh jhalakti hai un ki nigah se
chalte to hain qadam-ba-qadam sadgi ke sath
kuchh bhi na kah sake mere haal-e-tabah par
sunte rahe fasana-e-gham KHamushi ke sath
mayus ho ke palTe jo aiwan-e-husn se
phir aarzu lipaT gai diwangi ke sath
wo samne hai manzil-e-jaanan ki sarzamin
ai muKHlisan-e-ishq chalo be-KHudi ke sath
matlab hi jaise kuchh unhen 'iqbaal' se nahin
aae bhi hain wo dil mein to kis sadgi ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.