hum jo dehat se shahron ki taraf aae hain
ham jo dehāt se shahroñ kī taraf aa.e haiñ
ishq aur husn ke bichhḌe hue hamsā.e haiñ
ek be-rang se mausam kī havā chaltī hai
ab na vo dhuup na peḌoñ ke ghane saa.e haiñ
kaun sā phuul hameñ yaad nahīñ bachpan kā
kaun sā rang javānī kā bhulā paa.e haiñ
gard-e-ayyām-e-guzishta bhī to saath aa.ī hai
ham tire paas akele to nahīñ aa.e haiñ
terī āñkheñ to ujāle kī amiiñ haiñ ab tak
ye añdhere to kisī aur ne phailā.e haiñ
hum jo dehat se shahron ki taraf aae hain
ishq aur husn ke bichhDe hue hamsae hain
ek be-rang se mausam ki hawa chalti hai
ab na wo dhup na peDon ke ghane sae hain
kaun sa phul hamein yaad nahin bachpan ka
kaun sa rang jawani ka bhula pae hain
gard-e-ayyam-e-guzishta bhi to sath aai hai
hum tere pas akele to nahin aae hain
teri aankhen to ujale ki amin hain ab tak
ye andhere to kisi aur ne phailae hain
- Book : رنگ سا اڑتا ہے (Pg. 58)
- Author : اشفاق عامر
- Publication : عکاس پبلی کیشنز،اسلام آباد
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.