hum jo guzre unki mahfil ke qarib
ham jo guzre un kī mahfil ke qarīb
ik kasak sī rah ga.ī dil ke qarīb
sab ke sab baiThe the qātil ke qarīb
be-kasī thī sirf bismil ke qarīb
zindagī kyā thī 'ajab tūfān thī
ab kahīñ pahuñche haiñ manzil ke qarīb
is qadar ḳhud-rafta-e-sahrā hue
bhuul kar dekhā na mahmil ke qarīb
haa.e us muḳhtār kī majbūriyāñ
jis ne dam toḌā ho manzil ke qarīb
zindagī-o-maut vāhid aa.ina
aadmī hai hadd-e-fāsil ke qarīb
ye tajāhul ā'rifāna hai janāb
bhuul kar jaanā na ġhāfil ke qarīb
tarbiyat ko husn-e-sohbat chāhiye
baiThiye ustād-e-kāmil ke qarīb
hosh kī kahtā hai dīvāna sadā
aur māyūsī hai 'āqil ke qarīb
dekhiye un bad-nasīboñ kā ma.aal
vo jo Duube aa ke sāhil ke qarīb
chhā.ī hai 'gulzār' meñ fasl-e-ḳhizāñ
phuul haiñ sab gul shamā.il ke qarīb
hum jo guzre un ki mahfil ke qarib
ek kasak si rah gai dil ke qarib
sab ke sab baiThe the qatil ke qarib
be-kasi thi sirf bismil ke qarib
zindagi kya thi 'ajab tufan thi
ab kahin pahunche hain manzil ke qarib
is qadar KHud-rafta-e-sahra hue
bhul kar dekha na mahmil ke qarib
hae us muKHtar ki majburiyan
jis ne dam toDa ho manzil ke qarib
zindagi-o-maut wahid aaina
aadmi hai hadd-e-fasil ke qarib
ye tajahul aa'rifana hai janab
bhul kar jaana na ghafil ke qarib
tarbiyat ko husn-e-sohbat chahiye
baiThiye ustad-e-kaamil ke qarib
hosh ki kahta hai diwana sada
aur mayusi hai 'aqil ke qarib
dekhiye un bad-nasibon ka maal
wo jo Dube aa ke sahil ke qarib
chhai hai 'gulzar' mein fasl-e-KHizan
phul hain sab gul shamail ke qarib
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.