hum jo ek bar tere ruKH ki jhalak dekhte hain
hum jo ek bar tere ruKH ki jhalak dekhte hain
Zargona Khalid Zargone
MORE BYZargona Khalid Zargone
ham jo ik baar tire ruḳh kī jhalak dekhte haiñ
der tak log phir āñkhoñ kī chamak dekhte haiñ
ab ḳhizāoñ ke tasallut meñ haiñ sab dasht magar
aap ke saath bahāroñ kī kumak dekhte haiñ
Duub jaate haiñ sab āvāz kī shīrīnī meñ
aur ham aap ke lahje kī khanak dekhte haiñ
aise lagtā hai ki vo vasl pe āmāda haiñ
jab ravayye meñ kabhī un ke lachak dekhte haiñ
dekhnā chāhte haiñ achchhe ḳhad-o-ḳhāl sabhī
kaun is dil meñ jo hotī hai kasak dekhte haiñ
tum samajhte ho hameñ dhun hai sitāroñ kī faqat
jab ki ham un se pare rang-e-falak dekhte haiñ
rok sakte to nahīñ aap ko ham 'zarġhone'
haañ magar jaate hue der talak dekhte haiñ
hum jo ek bar tere ruKH ki jhalak dekhte hain
der tak log phir aankhon ki chamak dekhte hain
ab KHizaon ke tasallut mein hain sab dasht magar
aap ke sath bahaaron ki kumak dekhte hain
Dub jate hain sab aawaz ki shirini mein
aur hum aap ke lahje ki khanak dekhte hain
aise lagta hai ki wo wasl pe aamada hain
jab rawayye mein kabhi un ke lachak dekhte hain
dekhna chahte hain achchhe KHad-o-KHal sabhi
kaun is dil mein jo hoti hai kasak dekhte hain
tum samajhte ho hamein dhun hai sitaron ki faqat
jab ki hum un se pare rang-e-falak dekhte hain
rok sakte to nahin aap ko hum 'zarghone'
han magar jate hue der talak dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.