hum jo in hathon ko masruf-e-amal rakhte hain
ham jo in hāthoñ ko masrūf-e-amal rakhte haiñ
mas.ale jo bhī hoñ ḳhud sāmne hal rakhte haiñ
apne hisse meñ faqat baaġh kī mehnat aa.ī
phuul rakhte haiñ na ham paas meñ phal rakhte haiñ
din ko muflis haiñ to kyā raat hai shāhoñ jaisī
ham bhī ḳhvāboñ meñ ka.ī tāj-mahal rakhte haiñ
ham unheñ dekh ke jiite haiñ sitam to dekho
jo hameñ dekh ke peshānī pe bal rakhte haiñ
ham vahāñ dars-e-vafā deñ bhī to kyā log jahāñ
buġhz sīnoñ meñ dimāġhoñ meñ ḳhalal rakhte haiñ
aap ke sheroñ meñ 'farhat' ġham-e-daurāñ kaisā
ahl-e-fan aap se ummīd-e-ġhazal rakhte haiñ
hum jo in hathon ko masruf-e-amal rakhte hain
masale jo bhi hon KHud samne hal rakhte hain
apne hisse mein faqat bagh ki mehnat aai
phul rakhte hain na hum pas mein phal rakhte hain
din ko muflis hain to kya raat hai shahon jaisi
hum bhi KHwabon mein kai taj-mahal rakhte hain
hum unhen dekh ke jite hain sitam to dekho
jo hamein dekh ke peshani pe bal rakhte hain
hum wahan dars-e-wafa den bhi to kya log jahan
bughz sinon mein dimaghon mein KHalal rakhte hain
aap ke sheron mein 'farhat' gham-e-dauran kaisa
ahl-e-fan aap se ummid-e-ghazal rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.