hum jo kisi pahaD par apni dua utarte
ham jo kisī pahāḌ par apnī du'ā utārte
karte kalām baa'd meñ pahle ḳhudā utārte
ham ko diyā gayā hai jo ham pe tirī 'atā hai vo
ham bhī isī liye nahīñ bār-e-ḳhatā utārte
kamra mahak uThā mirā khulne lagā vujūd bhī
āñkheñ chamakne lag ga.iiñ bāb-e-vafā utārte
aanā thā aap ne agar karte hameñ to kuchh ḳhabar
aap kī rah meñ har taraf bād-e-sabā utārte
kitnā vafā-shi'ār thā dar se mire nahīñ uThā
rote hue guzār dī rang-e-hinā utārte
diin pe jo nahīñ the log chāñd pe vo chale ga.e
ham to rahe zamīn par fatve sadā utārte
jin pe bahut hī naaz thā dost vahī chale ga.e
is se baḌā 'adīm' par bojh vo kyā utārte
hum jo kisi pahaD par apni du'a utarte
karte kalam ba'd mein pahle KHuda utarte
hum ko diya gaya hai jo hum pe teri 'ata hai wo
hum bhi isi liye nahin bar-e-KHata utarte
kamra mahak uTha mera khulne laga wujud bhi
aankhen chamakne lag gain bab-e-wafa utarte
aana tha aap ne agar karte hamein to kuchh KHabar
aap ki rah mein har taraf baad-e-saba utarte
kitna wafa-shi'ar tha dar se mere nahin uTha
rote hue guzar di rang-e-hina utarte
din pe jo nahin the log chand pe wo chale gae
hum to rahe zamin par fatwe sada utarte
jin pe bahut hi naz tha dost wahi chale gae
is se baDa 'adim' par bojh wo kya utarte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.