hum jo pakDen bhi to kya hath mein aa jaenge
ham jo pakḌeñ bhī to kyā haath meñ aa jā.eñge
ḳhvāb jugnū kī tarah raat meñ aa jā.eñge
raat bhar chāñd sitāroñ se mirī baat huī
aisā lagtā thā kisī baat meñ aa jā.eñge
ham se darvesh raheñ gosha-nashīñ behtar hai
ḳhud se nikle to tirī zaat meñ aa jā.eñge
vaqt ko haath meñ mahsūs kareñge pahle
aur phir aap bhī auqāt meñ aa jā.eñge
jaa.eñ duniyā ke kisī kone kisī mausam meñ
ham se vā'da kareñ barsāt meñ aa jā.eñge
hum jo pakDen bhi to kya hath mein aa jaenge
KHwab jugnu ki tarah raat mein aa jaenge
raat bhar chand sitaron se meri baat hui
aisa lagta tha kisi baat mein aa jaenge
hum se darwesh rahen gosha-nashin behtar hai
KHud se nikle to teri zat mein aa jaenge
waqt ko hath mein mahsus karenge pahle
aur phir aap bhi auqat mein aa jaenge
jaen duniya ke kisi kone kisi mausam mein
hum se wa'da karen barsat mein aa jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.