Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum jo sare jahan wale hain

Gauhar Shaikh Purwi

hum jo sare jahan wale hain

Gauhar Shaikh Purwi

MORE BYGauhar Shaikh Purwi

    ham jo saare jahān vaale haiñ

    gum-shuda dāstān vaale haiñ

    kyoñ na barsāt meñ hoñ ḳhaufzada

    vo jo kachche makān vaale haiñ

    ham ġharīboñ se kyoñ nahīñ milte

    kyā vo ūñchī uḌaan vaale haiñ

    TuuTī qabroñ se aa rahī hai sadā

    be-nishāñ bhī nishān vaale haiñ

    ham ko showcase meñ sajā leñge

    jab vo ūñchī dūkān vaale haiñ

    raah meñ vo bhaTak nahīñ sakte

    jo baḌī aan baan vaale haiñ

    maut se bhī kahīñ nahīñ Darte

    ham baḌī saḳht jaan vaale haiñ

    band kamre meñ rah nahīñ sakte

    ham khule sā.ebān vaale haiñ

    ūñche mahloñ pe naaz kyoñ hai tumheñ

    ham bhī to āsmān vaale haiñ

    soch kar koī guftugū kījiye

    dar-o-dīvār kaan vaale haiñ

    pyaar sheva hamārā hai 'gauhar'

    ham bhī hindostān vaale haiñ

    hum jo sare jahan wale hain

    gum-shuda dastan wale hain

    kyon na barsat mein hon KHaufzada

    wo jo kachche makan wale hain

    hum gharibon se kyon nahin milte

    kya wo unchi uDan wale hain

    TuTi qabron se aa rahi hai sada

    be-nishan bhi nishan wale hain

    hum ko showcase mein saja lenge

    jab wo unchi dukan wale hain

    rah mein wo bhaTak nahin sakte

    jo baDi aan ban wale hain

    maut se bhi kahin nahin Darte

    hum baDi saKHt jaan wale hain

    band kamre mein rah nahin sakte

    hum khule saeban wale hain

    unche mahlon pe naz kyon hai tumhein

    hum bhi to aasman wale hain

    soch kar koi guftugu kijiye

    dar-o-diwar kan wale hain

    pyar shewa hamara hai 'gauhar'

    hum bhi hindostan wale hain

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now