hum junun ko zindagi ka mustaqar samjha kiye
ham junūñ ko zindagī kā mustaqar samjhā kiye
ai 'shifā' manzil kidhar thī aur kidhar samjhā kiye
vaa.e ye kotāhī-e-ehsās-o-tangī-e-nazar
zindagī ko zindagī bhar muḳhtasar samjhā kiye
kārvāñ pahuñche qarīb-e-sa.ī-e-anjām-e-safar
aur ham mafhūm-e-āġhāz-e-safar samjhā kiye
be-ḳhudī ne kis qadar gumrāh rakkhā ishq ko
ham tasavvur hī ko husn-e-mo'atabar samjhā kiye
dekh kar bhī un ko ham māyūs-e-nazzāra rahe
har nazar ko laġhzish-e-zauq-e-nazar samjhā kiye
husn ke rangīñ muamme ishq ke ġhamgīn raaz
kuchh samajh meñ to na aate the magar samjhā kiye
zarre zarre kā shu.ūr o zehn ko irfān thā
be-ḳhabar the ḳhud jo ham ko be-ḳhabar samjhā kiye
aaj tak ham ne faroġh-e-dil pe nazreñ hī na kiiñ
mehr-o-mah par munhasir apnī sahar samjhā kiye
dar-haqīqat vo halākat-āfrīñ niklī 'shifā'
ham jise ab tak mohabbat kī nazar samjhā kiye
hum junun ko zindagi ka mustaqar samjha kiye
ai 'shifa' manzil kidhar thi aur kidhar samjha kiye
wae ye kotahi-e-ehsas-o-tangi-e-nazar
zindagi ko zindagi bhar muKHtasar samjha kiye
karwan pahunche qarib-e-sai-e-anjam-e-safar
aur hum mafhum-e-aghaz-e-safar samjha kiye
be-KHudi ne kis qadar gumrah rakkha ishq ko
hum tasawwur hi ko husn-e-mo'atabar samjha kiye
dekh kar bhi un ko hum mayus-e-nazzara rahe
har nazar ko laghzish-e-zauq-e-nazar samjha kiye
husn ke rangin muamme ishq ke ghamgin raaz
kuchh samajh mein to na aate the magar samjha kiye
zarre zarre ka shuur o zehn ko irfan tha
be-KHabar the KHud jo hum ko be-KHabar samjha kiye
aaj tak hum ne farogh-e-dil pe nazren hi na kin
mehr-o-mah par munhasir apni sahar samjha kiye
dar-haqiqat wo halakat-afrin nikli 'shifa'
hum jise ab tak mohabbat ki nazar samjha kiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.