hum kabhi aag the jo bujh ke hue rakh ki manind
hum kabhi aag the jo bujh ke hue rakh ki manind
Mohammad Ahmad Saqi
MORE BYMohammad Ahmad Saqi
ham kabhī aag the jo bujh ke hue raakh kī mānind
vaqt ke aage paḌe haiñ ḳhas-o-ḳhāshāk kī mānind
ḳhil.at-e-faqr kā tālib huuñ magar ḳhvāhish-e-duniyā
chipkī rahtī hai badan se mirī poshāk kī mānind
ab bhalā kaun tarāshegā mire bigḌe hue naqsh
ab koī chaak ghumātā hī nahīñ chaak kī mānind
sar kuchalne ke alāva koī rasta hī nahīñ thā
vo laḌā mujh se kisī mār-e-ḳhatarnāk kī mānind
apne andar se nikalne kī ijāzat nahīñ ham ko
dekhte haiñ jahāñ ko dīda-e-idrāk kī mānind
maiñ kisī aur hī duniyā meñ chalā aaya huuñ 'ahmad'
ye jahāñ lagtā nahīñ mujh ko mirī ḳhaak kī mānind
hum kabhi aag the jo bujh ke hue rakh ki manind
waqt ke aage paDe hain KHas-o-KHashak ki manind
KHilat-e-faqr ka talib hun magar KHwahish-e-duniya
chipki rahti hai badan se meri poshak ki manind
ab bhala kaun tarashega mere bigDe hue naqsh
ab koi chaak ghumata hi nahin chaak ki manind
sar kuchalne ke alawa koi rasta hi nahin tha
wo laDa mujh se kisi mar-e-KHatarnak ki manind
apne andar se nikalne ki ijazat nahin hum ko
dekhte hain jahan ko dida-e-idrak ki manind
main kisi aur hi duniya mein chala aaya hun 'ahmad'
ye jahan lagta nahin mujh ko meri KHak ki manind
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.