hum kahan apni mohabbat mein KHalal chahte hain
hum kahan apni mohabbat mein KHalal chahte hain
Faisal Qadri Gunnauri
MORE BYFaisal Qadri Gunnauri
ham kahāñ apnī mohabbat meñ ḳhalal chāhte haiñ
aap har baat pe kyoñ radd-e-‘amal chāhte haiñ
'ishq anjām ko pahuñche to sila miltā hai
aap āġhāz-e-mohabbat meñ hī phal chāhte haiñ
aaj kā daur mubārak ho tumhīñ ko logo
ham to apnā vahī guzrā huā kal chāhte haiñ
ham se dīvānoñ kī hasrat hī nahīñ is ke sivā
ham to mahbūb ke qadmoñ meñ ajal chāhte haiñ
kyā ḳhabar phir se mulāqāt huī yā na huī
ham tire qurb ke bas ek do pal chāhte haiñ
jaane vaale tū hameñ koī nishānī de jā
ham basānā tirī yādoñ kā mahal chāhte haiñ
ab to nādān tabī'at ko sañbhālo 'faisal'
apne hālāt bhī ab radd-o-badal chāhte haiñ
hum kahan apni mohabbat mein KHalal chahte hain
aap har baat pe kyon radd-e-‘amal chahte hain
'ishq anjam ko pahunche to sila milta hai
aap aaghaz-e-mohabbat mein hi phal chahte hain
aaj ka daur mubarak ho tumhin ko logo
hum to apna wahi guzra hua kal chahte hain
hum se diwanon ki hasrat hi nahin is ke siwa
hum to mahbub ke qadmon mein ajal chahte hain
kya KHabar phir se mulaqat hui ya na hui
hum tere qurb ke bas ek do pal chahte hain
jaane wale tu hamein koi nishani de ja
hum basana teri yaadon ka mahal chahte hain
ab to nadan tabi'at ko sanbhaalo 'faisal'
apne haalat bhi ab radd-o-badal chahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.