hum kahan aur kahan rasm-o-rah-e-am-e-ghazal
ham kahāñ aur kahāñ rasm-o-rah-e-'ām-e-ġhazal
jaane kis shoḳh ke sar jā.egā ilzām-e-ġhazal
tere lahje kī halāvat tirī āvāz kā loch
ik 'ajab rang se chhalkā hai sar-e-jām-e-ġhazal
haath aayā bhī kahīñ husn-e-gurezāñ kā jamāl
DhūñDhtī phirtī hai kis ko havas-e-ḳhām-e-ġhazal
jaane kyā chiiz thī zikr-e-lab-o-ruḳhsār kī zau
sub.h ban jaatī hai afsurdagī-e-shām-e-ġhazal
mere āhang meñ ghultī rahī taqdīr-e-bahār
mere alfāz meñ Dhalte rahe asnām-e-ġhazal
ek muddat se jo mahsūs-e-dil-o-jāñ thī 'urūj'
us ḳhalish ko bhī diyā ham ne magar nām-e-ġhazal
hum kahan aur kahan rasm-o-rah-e-'am-e-ghazal
jaane kis shoKH ke sar jaega ilzam-e-ghazal
tere lahje ki halawat teri aawaz ka loch
ek 'ajab rang se chhalka hai sar-e-jam-e-ghazal
hath aaya bhi kahin husn-e-gurezan ka jamal
DhunDhti phirti hai kis ko hawas-e-KHam-e-ghazal
jaane kya chiz thi zikr-e-lab-o-ruKHsar ki zau
subh ban jati hai afsurdagi-e-sham-e-ghazal
mere aahang mein ghulti rahi taqdir-e-bahaar
mere alfaz mein Dhalte rahe asnam-e-ghazal
ek muddat se jo mahsus-e-dil-o-jaan thi 'uruj'
us KHalish ko bhi diya hum ne magar nam-e-ghazal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.