hum kahte hain din jis ko use raat kaho ho
hum kahte hain din jis ko use raat kaho ho
Zaheer-ul-Hasan Tishna
MORE BYZaheer-ul-Hasan Tishna
ham kahte haiñ din jis ko use raat kaho ho
bar-aks mire tum to har ik baat kaho ho
is tarah se tum ġham kī hikāyāt kaho ho
dil merā hilā detī hai jo baat kaho ho
miTtā hai miTāne se kahīñ naqsh-e-mohabbat
maiñ tum ko bhulā dūñgā ajab baat kaho ho
auroñ kā fasāna to maze le ke suno ho
aur merī kahānī ko ḳharābāt kaho ho
mahfil meñ mire aane se kaahe ko ḳhafā ho
lo uTh ke chalā jaatā huuñ kyoñ baat kaho ho
apnā jo unheñ kah diyā bole vo bigaḌ kar
muñh chhoTā tumhārā hai baḌī baat kaho ho
ye silsila-e-ishq-o-mohabbat hai azal se
kyoñ merī mohabbat ko ḳhurāfāt kaho ho
tum baiTh ke piite ho sar-e-rāh to phir kyoñ
mai-ḳhāna-e-'tashna' ko ḳharābāt kaho ho
hum kahte hain din jis ko use raat kaho ho
bar-aks mere tum to har ek baat kaho ho
is tarah se tum gham ki hikayat kaho ho
dil mera hila deti hai jo baat kaho ho
miTta hai miTane se kahin naqsh-e-mohabbat
main tum ko bhula dunga ajab baat kaho ho
auron ka fasana to maze le ke suno ho
aur meri kahani ko KHarabaat kaho ho
mahfil mein mere aane se kahe ko KHafa ho
lo uTh ke chala jata hun kyon baat kaho ho
apna jo unhen kah diya bole wo bigaD kar
munh chhoTa tumhaara hai baDi baat kaho ho
ye silsila-e-ishq-o-mohabbat hai azal se
kyon meri mohabbat ko KHurafat kaho ho
tum baiTh ke pite ho sar-e-rah to phir kyon
mai-KHana-e-'tashna' ko KHarabaat kaho ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.