hum kal is anjuman se jo paDh kar ghazal gae
ham kal is anjuman se jo paḌh kar ġhazal ga.e
kahte haiñ un kī āñkhoñ meñ sāgar machal ga.e
roī sahar to husn ke manzar badal ga.e
shabnam kī choT khaa.ī to patthar pighal ga.e
aise bhī moḌ aa.e rah-e-'ishq meñ jahāñ
ham ḳhud hī apne aap se bach kar nikal ga.e
agle se ab kahāñ haiñ vo tishna-labān-e-shauq
shīshe badal ga.e mai-o-sāġhar badal ga.e
ab dekh tere shahr kī galiyāñ udaas haiñ
dīvāne tere shahr se bāhar nikal ga.e
tum saath the to goyā zamāna bhī saath thā
badle jo tum to vaqt ke tevar badal ga.e
ham ahl-e-ġham kā kyā ki bahār un ke naam par
bahlā diyā kisī ne to aksar bahal ga.e
hum kal is anjuman se jo paDh kar ghazal gae
kahte hain un ki aankhon mein sagar machal gae
roi sahar to husn ke manzar badal gae
shabnam ki choT khai to patthar pighal gae
aise bhi moD aae rah-e-'ishq mein jahan
hum KHud hi apne aap se bach kar nikal gae
agle se ab kahan hain wo tishna-laban-e-shauq
shishe badal gae mai-o-saghar badal gae
ab dekh tere shahr ki galiyan udas hain
diwane tere shahr se bahar nikal gae
tum sath the to goya zamana bhi sath tha
badle jo tum to waqt ke tewar badal gae
hum ahl-e-gham ka kya ki bahaar un ke nam par
bahla diya kisi ne to aksar bahal gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.