hum KHak-ba-sar gard-e-safar DhunD rahe hain
ham ḳhāk-ba-sar gard-e-safar DhūñD rahe haiñ
aur log samajhte haiñ ki ghar DhūñD rahe haiñ
dīvānoñ ke mānind mare shahr ke sab log
dastār ke qābil koī sar DhūñD rahe haiñ
ab shaam hai to shahr meñ gaañv ke parinde
rahne ke liye koī shajar DhūñD rahe haiñ
jo dil ke nihāñ-ḳhānoñ meñ rahtā hai hamesha
ye log use aaj kidhar DhūñD rahe haiñ
galiyoñ meñ jo phirte haiñ ye mānūs se chehre
Dhaltī huī tahzīb ke ghar DhūñD rahe haiñ
afsurda se chehroñ pe baḌī der se ham log
ik khoyā huā dast-e-hunar DhūñD rahe haiñ
hum KHak-ba-sar gard-e-safar DhunD rahe hain
aur log samajhte hain ki ghar DhunD rahe hain
diwanon ke manind mare shahr ke sab log
dastar ke qabil koi sar DhunD rahe hain
ab sham hai to shahr mein ganw ke parinde
rahne ke liye koi shajar DhunD rahe hain
jo dil ke nihan-KHanon mein rahta hai hamesha
ye log use aaj kidhar DhunD rahe hain
galiyon mein jo phirte hain ye manus se chehre
Dhalti hui tahzib ke ghar DhunD rahe hain
afsurda se chehron pe baDi der se hum log
ek khoya hua dast-e-hunar DhunD rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.