hum KHak-nashinon pe tum ilhami ata ho
ham ḳhāk-nashīnoñ pe tum ilhāmī 'atā ho
jaise kisī majzūb kī maqbūl du'ā ho
le aao koī misr se mahbūb kā kurtā
taaki mirī āñkhoñ kā diyā phir se harā ho
is dhaj se manāne kā hunar us ko hai hāsil
maiñ phir se manā.ūñgā chalo phir se ḳhafā ho
duniyā meñ hasīñ laakh haiñ par tum se nahīñ haiñ
goyā tumheñ qudrat ne bhī fursat meñ bunā ho
aao kabhī sahrā meñ to ban jaa.e vo gulshan
is mausam-e-naumīd meñ paiġhām-e-ziyā ho
nikle hai du'ā dil se mire ye hī musalsal
gūñje jo mire ghar meñ faqat terī sadā ho
hai un kā bulāvā mujhe aise ki ye goyā
sarkār ke darbār se ye hukm milā ho
ye chīzeñ zarūrī haiñ taḳhayyul ko hamāre
ik jaam sar-e-shām ho aur bād-e-sabā ho
kuchh nukta-varoñ se bhī abhī tai na huā ye
kyā raaz tumhārā hai ki tum kaun ho kyā ho
ai kaash ki mujh ko bhī 'atā ho vo haqīqat
bas maiñ huuñ mirā yaar ho aur ġhār-e-hirā ho
tum asl meñ kyā ho ye 'ayāñ kyoñ nahīñ karte
sultān ho mahbūb ho but ho yā ḳhudā ho
hum KHak-nashinon pe tum ilhami 'ata ho
jaise kisi majzub ki maqbul du'a ho
le aao koi misr se mahbub ka kurta
taki meri aankhon ka diya phir se hara ho
is dhaj se manane ka hunar us ko hai hasil
main phir se manaunga chalo phir se KHafa ho
duniya mein hasin lakh hain par tum se nahin hain
goya tumhein qudrat ne bhi fursat mein buna ho
aao kabhi sahra mein to ban jae wo gulshan
is mausam-e-naumid mein paigham-e-ziya ho
nikle hai du'a dil se mere ye hi musalsal
gunje jo mere ghar mein faqat teri sada ho
hai un ka bulawa mujhe aise ki ye goya
sarkar ke darbar se ye hukm mila ho
ye chizen zaruri hain taKHayyul ko hamare
ek jam sar-e-sham ho aur baad-e-saba ho
kuchh nukta-waron se bhi abhi tai na hua ye
kya raaz tumhaara hai ki tum kaun ho kya ho
ai kash ki mujh ko bhi 'ata ho wo haqiqat
bas main hun mera yar ho aur ghaar-e-hira ho
tum asl mein kya ho ye 'ayan kyon nahin karte
sultan ho mahbub ho but ho ya KHuda ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.