hum KHak se uTThe chashm-e-safar mein dasht sanbhaala kisht rakhi
hum KHak se uTThe chashm-e-safar mein dasht sanbhaala kisht rakhi
Yasir Iqbal
MORE BYYasir Iqbal
ham ḳhaak se uTThe chashm-e-safar meñ dasht sañbhālā kisht rakhī
vahshat ke muāfiq sang na thā so shahriyyat kī ḳhisht rakhī
har samt zamīn meñ tah-dar-tah shajre ke jangal naqsh hue
ham lauh-o-qalam ke vāris the āsār meñ sirf navisht rakhī
jab aflātūn kā andhā bargad phailā to ġhaltān huā
sab tan ko javānī kaaT ga.ī to ḳhushk laboñ par hisht rakhī
ham zard kitāb ke jaltoñ ne tā'bīroñ kā hangām kiyā
jab lafzoñ ko sarsabz kiyā to pesh-e-nigāh bahisht rakhī
vo ahl-e-sulūk to sahrā meñ ik chaal chale ik Dhaal Dhale
ham rasta nāpne vāloñ ne qadmoñ kī jagah bālisht rakhī
kyā niiv rakheñ kyā lafz chuneñ dīvār-e-dil kī baat bane
ik sīdhī saadī iiñT kahī to us purkār ne ḳhisht rakhī
jab taḌke samay kā paat khulā chamkīlī ġhazal bhī jaag paḌī
ham ne bhī chhuan kī mehmānī meñ ā.īne kī sarisht rakhī
hum KHak se uTThe chashm-e-safar mein dasht sanbhaala kisht rakhi
wahshat ke muafiq sang na tha so shahriyyat ki KHisht rakhi
har samt zamin mein tah-dar-tah shajre ke jangal naqsh hue
hum lauh-o-qalam ke waris the aasar mein sirf nawisht rakhi
jab aflatun ka andha bargad phaila to ghaltan hua
sab tan ko jawani kaT gai to KHushk labon par hisht rakhi
hum zard kitab ke jalton ne ta'biron ka hangam kiya
jab lafzon ko sarsabz kiya to pesh-e-nigah bahisht rakhi
wo ahl-e-suluk to sahra mein ek chaal chale ek Dhaal Dhale
hum rasta napne walon ne qadmon ki jagah baalisht rakhi
kya niw rakhen kya lafz chunen diwar-e-dil ki baat bane
ek sidhi sadi inT kahi to us purkar ne KHisht rakhi
jab taDke samay ka pat khula chamkili ghazal bhi jag paDi
hum ne bhi chhuan ki mehmani mein aaine ki sarisht rakhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.