hum KHushi pa ke gham ko bhul gae
ham ḳhushī pā ke ġham ko bhuul ga.e
farq-e-sahbā-o-sam ko bhuul ga.e
jab hue āshnā-e-lazzat-e-ġham
talḳhi-e-zahr-e-ġham ko bhuul ga.e
un ke lutf-o-karam ke maare hue
un ke jaur-o-sitam ko bhuul ga.e
chashm-e-sāqī se jab nigāh milī
bāda-kash jām-e-jam ko bhuul ga.e
phir koī aur kījiyegā sitam
dekhiye log ham ko bhuul ga.e
ham sitam-kosh ban ga.e to vo
apne tarz-e-sitam ko bhuul ga.e
raas aa.ī hai kab ḳhushī un ko
jo ḳhushī pā ke ġham ko bhuul ga.e
aise milte haiñ ajnabī kī tarah
jaise sach-much vo ham ko bhuul ga.e
un kā dar mil gayā to ai 'hairat'
ham bhī dair-o-haram ko bhuul ga.e
hum KHushi pa ke gham ko bhul gae
farq-e-sahba-o-sam ko bhul gae
jab hue aashna-e-lazzat-e-gham
talKHi-e-zahr-e-gham ko bhul gae
un ke lutf-o-karam ke mare hue
un ke jaur-o-sitam ko bhul gae
chashm-e-saqi se jab nigah mili
baada-kash jam-e-jam ko bhul gae
phir koi aur kijiyega sitam
dekhiye log hum ko bhul gae
hum sitam-kosh ban gae to wo
apne tarz-e-sitam ko bhul gae
ras aai hai kab KHushi un ko
jo KHushi pa ke gham ko bhul gae
aise milte hain ajnabi ki tarah
jaise sach-much wo hum ko bhul gae
un ka dar mil gaya to ai 'hairat'
hum bhi dair-o-haram ko bhul gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.