hum ki ab pyas ke mare bhi nahin aaenge
ham ki ab pyaas ke maare bhī nahīñ ā.eñge
yam-ba-yam aab pukāre bhī nahīñ ā.eñge
rā.egānī kā vo 'ālam hai ki yuuñ lagtā hai
mere hisse meñ ḳhasāre bhī nahīñ ā.eñge
itnī bezār haiñ āñkheñ ki ḳhudā jāntā hai
ham ko ab ḳhvāb tumhāre bhī nahīñ ā.eñge
hālat-e-asl meñ lagtā hai ḳhad-o-ḳhāl mire
ab tirā zang utāre bhī nahīñ ā.eñge
koī girdāb nahīñ aa.egā daurān-e-safar
aur sitam ye hai kināre bhī nahīñ ā.eñge
aise chhoḌeñge tirā shahr ki ham is kī taraf
gardish-e-vaqt ke maare bhī nahīñ ā.eñge
hum ki ab pyas ke mare bhi nahin aaenge
yam-ba-yam aab pukare bhi nahin aaenge
raegani ka wo 'alam hai ki yun lagta hai
mere hisse mein KHasare bhi nahin aaenge
itni bezar hain aankhen ki KHuda jaanta hai
hum ko ab KHwab tumhaare bhi nahin aaenge
haalat-e-asl mein lagta hai KHad-o-KHal mere
ab tera zang utare bhi nahin aaenge
koi girdab nahin aaega dauran-e-safar
aur sitam ye hai kinare bhi nahin aaenge
aise chhoDenge tera shahr ki hum is ki taraf
gardish-e-waqt ke mare bhi nahin aaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.