hum ki har dam teri KHushbu se bhare rahte hain
ham ki har dam tirī ḳhushbū se bhare rahte haiñ
ḳhushk mausam meñ isī taur hare rahte haiñ
jin ke hone se huā diid kā dariyā raushan
haa.e vo log hī āñkhoñ se pare rahte haiñ
dasht-e-ḳhāmosh meñ ug aa.egā āvāz kā phuul
isī ummīd pe sab kaan dhare rahte haiñ
phir achānak hī chalā aatā hai vo hijr kā din
jis ke imkān se har raat Dare rahte haiñ
bhūle jaate haiñ vahī kaam jo lāzim ho bahut
aur jo ġhair-zarūrī ho kare rahte haiñ
sabz ho jaate haiñ sab ḳhvāb sahar hote hī
raat ke vaqt jo kambaḳht mare rahte haiñ
hum ki har dam teri KHushbu se bhare rahte hain
KHushk mausam mein isi taur hare rahte hain
jin ke hone se hua did ka dariya raushan
hae wo log hi aankhon se pare rahte hain
dasht-e-KHamosh mein ug aaega aawaz ka phul
isi ummid pe sab kan dhare rahte hain
phir achanak hi chala aata hai wo hijr ka din
jis ke imkan se har raat Dare rahte hain
bhule jate hain wahi kaam jo lazim ho bahut
aur jo ghair-zaruri ho kare rahte hain
sabz ho jate hain sab KHwab sahar hote hi
raat ke waqt jo kambaKHt mare rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.